Tere Uttarye Huy Dinn
Tangay Hain Lawn Main Ab Tak
Na Wo Purany Huye Hain
Na Un Ka Rang Uttra
Aheen Se Koi Bhi Seewan Abhi Nahi Udhri
Alaichi K Buht Pass Rakhy Pathar Per
Zara Si Chalti Serk Aya Kerti Hai Chaoon
Zara Sa Aur Ghunna Ho Gia Hai Wo Paoda
Main Thora Thora Wo Gumla Hatata Rehta Hoon
faqeera ab bhi wahi meri coffee deta hai
Galehrion Ko Bula Ker Khilata Hoon Biscuit
Galehrian Mujhe Shak Ki Nazar Se Dekhti Hain
Wo Tere Hathoon Ka Muss Janti Hoon Gi
Kabhi Kabhi Jab Uterti Hai Cheel Saam Ki ChatT Se
Thukki Thukki Si Zara Daer Lawn Main Rukk Ker
Safaid Aur Gulabi Sonde Podoon Main Ghulny Latgi Hain
Ke Jase Berf Ka Tukra Pighalta Jaye Whisky Main
Main Scarf Dinn Ka Gully Se Uttar Deta Hoon
Tere Uttary Huye Din Pahan Ker Ab Bhi Main
Teri Mahak Main Kai Rooz Katt Deta Hoon
Tere Uttary Huy Din
Tangay Hain Lawn Main Ab Tak
Na Wo Purany Huye Hain
Na Unn Ka Rang Uttra
Kaheen Se Koi Bhi Seewan Abhi Nahi Udheri...
Friday, January 18, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment