Hamesha Muskura Ke Aansuon Ko Chhupaya,
Gam Ko Chhupane Ka Yehi Rasta Nazar Aaya,
Kis Kis Ko Batate Behte AshQon Ka Sabab,
Ke Dard-E-Dil Dil Mein Kisne Jagaya,
Mehfilon Mein Kahin Bhi Maza Na Raha,
Rakha Dil Pe Pathar To Khud Ko Sajaya,
Baat Be-Baat Apni Aahein Daba Kar,
Yaaron Ke Darmiyan Kis Qadar Muskuraya,
Na Thi Chaah Kabhi Mujhe Mankashi Ki,
Jaam-E-Wafa Kisi Bewafa Ne Pilaya,
Kya MuQaddar Se Shikwa Karte Rahein,
Jo Kismat Mein Tha Wohi Kuch To Paya,
Ye Kis Mod Pe Aa Gayi Hai Ummidein,
Ke Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya,
Apno Ne Palat Ke Dekha Tak Nahi,
Gairon Ne Aakar Gale Se Lagaya,
Achha Hua Ke Raaz Khul Hi Gaya,
Dil-E-Nadaan Pe Khanjar Kisne Chalaya,
Shab-O-Roz Chahat Sila Ye Hai Tanha,
Dil Ke Tukde Hue Wo Chunne Na Aaya...
Sunday, August 19, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment